Sunday, September 25, 2011

Mehdi Hassan

1.   zindagi meiN to sabhi pyaar kiya karte haiN
     main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga

     tu mila hai to ehsaas hua hai muJhko
     ye meri umR mohabbat ke liye thoDi hai
     ik zara saagame daura ka bhi haq hai jispar
     maine wo saaNs bhi tere liye rakh choDi hai
     tuJhpe ho jaaoonga qurbaan tuJhe chaoonga
     main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga

     apne jazbaat meiN nagmaat rachaane ke liye
     maine dhaDkan ki tarah dil meiN basaya hai tuJhe
     main tasavoor bhi judaai ka bhala kaise karooN
     maine kimsat ki lakiroN se churaaya hai tuJhe
     pyaar ka ban ke nigehbaan tuJhe chahoonga
     main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga


2. rafta rafta wo meri hasti ka saamaaN ho gaye pehle jaaN fir jaane jaaN fir jaane jaana ho gaye din badin badhti gayi is huSn ki raanayeeyaaN phele gul fir gul badan fir gul badaama ho gaye aap to nazdeeK se nazdeek tar aate gaye pehle dil fir dilruba fir dil ke mehmaaN ho gaye pyaar jab had se baDha saare takalluf mit gaye aap se fir tum huye fir tu ka unwaaN ho gaye
3. tere bheege badan ki khooshboo se lehre bhi huyee mastaani si teri zulf ko chookar aaj huyee khaamosh hawa diwaani si ye roop ka kundan dehka hua ye zism ka chandan mehka hua ilzaam na dena fir muJhko ho jaaye agar naadani si bikhra hua kaajal aankhoN meiN toofaan ki halchal saansoN meiN ye narM laboN ki khamoshi palko meiN chupi hairaani si
4. yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi ik roshni andheroN mein bikhra gaya koi wo haadsa wo pehli mulaakat kyaa kahoon itni ajab thi soorat haalat kya kahoon wo kehar wo gazab wo jafa muJko yaad hai wo uski berukhi ki adaa muJhko yaad hai mittha nahin hai zehan pe yoon chaa gaya koi yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi pehle muJhe wo dekhke barham si ho gayee fir apne hi haseeN khayaloN meiN kho gayee bechargi pe meri usse reham aa gaya shaayad mere taDapne ka andaaz bhaa gaya saansoN se bhi kareeb mere aa gaya koi yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi yoon usne pyaar se meri baahOn ko choo liya manzil ne jaise shaakh ke raahon ko choo liya ik pal meiN dil pe kaise qayamt guzar gayi rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye benaam aarzoo ki lazzat na poochiye ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya manzil ka raasta muJhe dikhla gaya koi yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
5. ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa aa fir se muJhe choD ke jaane ke liye aa pehle se maraasim na sahee fir bhi kabhi to rasmo rahe duniya hi nibhaane ke liye aa kis kis ko bataayenge judaai ka sabab hum tu muJh se khafa hai to zamaane ke liye aa ab tak dil-e-khush seham ko tujh se hain ummeedeN ye aakhri shamme bhi buJhaane ke liye aa
6. pyaar bhare do sharmile nain jinse mila mere dil ko chain koi jaane na kyoon muJh se sharmaaye kaise muJhe tadpaaye dil ye kahe geet main tere gaaooN tu hi sune aur main gaata jaaooN tu jo rahe saath mere duniya ko thukraaooN tera dil behlaaoon dar hai muJhe tuJh se bichad na jaaooN kho ke tuJhe milne ki raah na paaooN aisa na ho jab bhi tera naam laboN par laaooN main aansoo ban jaaooN
7. kyooN humse khafa ho gaye ae jaan-e-tamanna bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete ye raat ye barsaat ye saawan ka mahina aise mein to sholoN ko bhi aata hai paseena is rut meiN gareeboN ka dua kyoon nahin lete bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete dekho to zara jhaank ke baahar ke fazaa meiN barsaat ne ik aaga laga di hai hawa meiN is aag ko seene meiN basa kyoon nahiN lete bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete aaya hai kise raas judaai ka ye aalam taDpenge meiN akele meiN udhar aap idhar hum dil dil se meri jaan mila kyoon nahin lete bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete
8. ab ke hum bichDe to shaayad kabhi khwaaboN meiN mile jis tarah sookhe huye phool kitaaboN meiN mile dhoonD uJde huye logon meiN wafa ke moti ye khazane tuJhe mumkin hai kharaboN meiN mile tu khuda hai na mera ishq faristoN jaisa dono insaaN haiN to inum itne hijaaboN mein mile gham-e-duniya bhi gham-e-yaar meiN shaamil kar lo nasha behta hai sharaaboN meiN to sharaboN meiN mile ab laboN meiN hooN na tu hai na wo maaji hai faraaq jaise do saaye tamaana ke saraabOn meiN mile
9. muJhe tum nazar se gira to rahe ho muJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge na jaane muJhe kyoon yakiN ho chala hai mere pyaar ko tum mitaa na sakoge meri yaad hogi jidhar jaaoge tum kabhi nagma banke kabhi banke aansoo kabhi nagma banke kabhi banke aansoo tadapta muJhe har taraf paaoge tum shama jo jalaayi hai meri wafa ne bujhaana bhi chaaho bujha na sakoge kabhi naam baatoN meiN aaya jo mera to bechain ho hoke dil thaam loge to bechain ho hoke dil thaam loge nigahon mein chaayega gham ka andhera kisi ne jo poocha sabab-a-subooN ka bataana bhi chaaho bata na sakoge
10. ye tera naazuk badan hai ya koi mehka gulaab kya karoon taarif teri har adaa hai laajawab kyoon na ye dil tumko chaahe husn se bhi tum ho haseen paaOn padte hain jahan pe phool khil jaate hain wahin jaan le lega hamaari ik na ik din ye sabaab ye tera naazuk badan hai ya koi mehka gulaab ruk gaye saawan ke baadal zulf jab chehre pe paDi ho dekh le jo unko shaayad bhool jaaye wo shaayari sang-e-marmar ka badan hai ya kisi shaayar ka khwaab
11. duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN ik dilruba hai dil meiN jo gooroN se kam nahiN tum baadshaah-e-husn ho husn-e-jahaan ho jaane wafa ho aur mohaabat ki shaan ho jalwe tumhare husn ke taaroN se kam nahin duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN bhoole se mushkuraaO to moti baras paDe palke utha ke dekho to kaliyaan bhi has paDe khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
12. rim jhim ki barsaat hai aur jaage huye jazbaat haiN husN ki garmi pyaar ki narmi dono ab ik saath haiN ruth hai badi mastaani dekho bheeg na jaaye jawaani kahin aag laga bin paani hosh nahin hai dil ka ab aise hi kuch haalat haiN aankho meiN hai sharaare lage jalne hoth kunwaare kuch samJho khudaa ishaare dil hai pyaar ka pyaasa aur bheege huye din raat haiN
13. shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare yahan gham ke maare tadapte raheN khizaN is gulistaaN meiN aati rahi hai hawa sookhe patte uDaati rahi hai yahan phool khilke baharon se milke bichadte rahe shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare yahan tere ashkoN ki keemat nahiN hai reham karna duniya ki aadat nahiN hai kisi ne na dekha yahan khooN ke aansoo dhalkte rahe shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare yahan ka dastoor hai khamosh rehna jo guzri hai dil pe kisi se na kehna ye din kaate hase yahan log bas ke ujaDte rahe shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare
14. ilaahi aansoo bhari zindagi kisi ko na de khushi ke baad gham-e-bekasi kisi ko na de udaas dil ki tamanna hai ashkbaar hooN maiN khizaaN meiN jaise baaharoN ki yaadgaar hoon maiN udaasi jis pe haNse wo hasi kisi ko na de ilaahi aansoo bhari zindagi kisi ko na de ujaad kar meri duniya ko rakh diya tune meri hayat ke maalik ye kya kiya tune jo gham naseeb ho aisi khushi kisi ko na de khushi ke baad gham-e-bekasi kisi ko na de
15. ik husn ki dewi se muJhe pyaar hua thaa dil uski mohaabat meiN giraftaar hua thaa wo roop ke jis roop se kaliyaN bhi lajaayeN wo julf ke jis julf se sharmaaye ghaTaayeN maikhane-e-nigaahon pe adaaoN ke taraane de daale muJhe usne mohabbat ke khazaane haan aisi hi ik raat thi aisa hi shama tha ye chaand bhi poora thaa jamana bhi jawaan tha ik peD ke saaye meiN jab ikraar hua thaa kashmir ki waadi ke wo purnaikh nazaare lamhaat mohaabt ke jahan humne guzaare angDai na lekar meri baahon ke sahaare gulnaar nazar aati thi wo sharm ke maare ek tarafa na the husn-o-mohabbat ke ishaare usne bhi kai baar mere baal sanwaare ehsaas ka jazbaat ka izhaar hua thaa kuch roz kate yoon hi bura waqt jab aaya us husn ki dewi ne bhi nazroN ko firaaya kurbat ne zamaane ke nighaahon se giraaya aachal mere haathoN se mohaabat ne chuDaaya ik raat ko usne muJhe sota hua choDa chal di wo kahin pyaar ko rota hua choDa soya hua main neend se jaaga jo sawere wo jab na mili chaa gaye aankhoN meiN andhere taqdir kisi ko bhi bure din na dikhaaye hote hain bure waqt meiN apne bhi paraaye kya pyaar ki daulat ka talabdaar hua thaa
16. mera imaan mohabbat hai mohabbat ki kasam saare duniya tere kadmoN pe nichaawar kar doon chaand taaron se meri jaan tera daaman bhar doon tere khwaaboN pe kabhi chaa na sake shaam-e-alam wo jahan ek jahannam hai jahan tu na mile jal ke mar jaaooon jo ye saaya-e-gesoo na mile zindagi zehar bhara jaam hai ab tere baghair teri chaahat pe hai qurbaan mere laakh janam mushkuraa jaane-e-bahara ke sawera hoga khatm sadiyon ki riwazon ka andhera hoga shab ki taqdeer meiN likha hai guzar hi jaana raah suraj ki kahan rok sake ehle sitam
17. fir aake chale jaana ik baar chale aao surat to dikha jaao, ik baar chale aao tumko mere geeton ka sangeet bulata hai kuch geet mere sun lo kuch apne suna jaao jo tum bulaayeN fir tum shauk se mat aana kis baat pe roothe ho itna to bata jaao kya dil ke tadapne ka ehsaas nahin tumko ab jaan pe ban aayi lillah chale aao
18. hum se badal gaya wo nigaahe to kya hua zinda hai kitne log mohabbat kiye baghair guzre dino mein jo kabhi gunje the keh kahe ab apne ikhtiyaar meiN wo bhi nahin rahe kismat meiN reh gayi hai jo aahe to kya hua sadma ye jhelna hai shikaayat kiye baghair wo saamne bhi ho to na kholenge hum zubaan likkhi hai uske chehre pe apni hi daastaan usko taras gayi hai ye baaheN to kya hua wo laut jaaye hum pe inaayat kiye baghair pehle karib tha koi ab dooriyaaN bhi haiN insaan ke naseeb meiN majbooriyaaN bhi haiN apni badal chuka hai wo raahen to kya hua hum chup rahenge usko malaamat kiye bahgair
19. bhadak rahi hai aag si hawaaoN meiN sulag raha hooN baadaloN ke chaaoN meiN bahaar muJh se chin gayi muJhe bahaar chaaiye muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye kisi ke dillagi ko pyaar jaanke main lut gaya hoon dil ki baat maanke na muJhko chaahiye wafa na muJhko pyaar chaaiye muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye na jaane kab ye dil ka dard jaayega rahoonga hosh meiN to gham sataayega mere liye to raat din bas ik khumaar chaaiye muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye tadap na mere dil kisi ki aas meiN hazaar talkhiyaaN hai teri pyaas meiN tuJhe to saari zindagi ka intezaar chaaiye muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts