Thursday, September 8, 2011

Memorable Ghazals of Jagjit and Chitra

1.   baat nikalegee to phir duur talak jaayegee
     log bewajaH udaasee kaa sabab poochhenge
     ye bhee poochhenge ke tum itnee pareshaaN kyooN ho
     oongliyaaN uTheNgee sookhe huye baaloN kee taraf
     ek nazar dekheNge guzre huye saaloN kee taraf
     chooDiyoN par bhee kaI taNz kiye jaayeNge
     kaaNpate haathoN pe bhee fikRe kase jaayeNge

     log zaalim haiN har ek baat kaa taanaa deNge
     baatoN baatoN meiN meraa zikR bhee le aayenge
     unakee baatoN kaa zaraa saa bhee asar mat lenaa
     waRnaa chehre ke taasur se samaJh jaayeNge
     chaahe kuchh bhI ho sawaalaat naa karnaa unse
     mere baare meiN koI baat na karnaa unse
     baat nikalegii to phir door talak jaayegee
   


2. sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista jawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda hayaa yakalaKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista sab-e-furkat ka jaaga hoon paristhoN ab to sone do kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista hamaare aur tumhaare pyaar meiN bas farq hai itna idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa-aahista baDi bedardi se sar kaate 'ameer' aur maiN kahooN unse huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista
3. gham badhe aate haiN qaaTil kee nigahoN ki tarah tum chupa lo muJhe ae dosth gunahoN ki tarah apni nazroN meiN gunehgaar na hote kyoon kar dil hi dushman hai mukhalif ke gawahoN ki tarah har taraf zeest ki raahoN mein kaDi dhoop hai dosth bas teri yaad ke saaye haiN panahoN ki tarah jinki khaatir kabhi ilzaam uThaye 'faakir' wo bhi pesh aaye hain insaaf ke shaaHoN ki tarah
4. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO
5. dost ban-banke mile muJhko mitaane waale maine dekhe haiN kaI rang badalane waale tumne chup rehkar sitam aur bhee Dhaayaa mujhpar tumse achchhe haiN mere haal pe haNsne waale maiN to ikhalAq ke hathoN hi bikA kartaa hooN aur hoNge tere baazAr meiN bikne waale akhree daur pe salaam-e-dil-e-mustar le lo phir naa lauTenge shab-e-hiJr pe ronewaale
6. dil ko gham-e-hayaat gaNwaara hai in diNo pehle jo dard tha wahi chaara hai in diNo ye dil zara sa dil teri yaadoN mein kho gaya zaRRe ko aandhiYon ka sahara hai in diNo tum aa sako to shab ko baDha dooN kuch aur bhi apne kahe meiN subhO ka taara hai in diNo
7. apne haathoN kee lakiroN meiN basa le muJhko main hooN tera to naseeb apna bana le muJhko muJhse too poochne aaya hai wafa ke maani ye teri sadaa-dili maar na Daale muJhko khud ko maiN baaNt na daalooN kahin daaman-daaman kar diya tune agar mere hawaale muJhko bada fir bada hai maiN zehar bhi pee jaaooN 'qatil' shart ye hai koi baahoN meiN sambhale muJhko
8. angDai par angDai leti hai raat judaee kee tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya meiN maiNe aaNkh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par waqt se pehle dhooB gaye taaroN ne baDi daanaee kee uDte uDte aas ka paNchi door ufaq mein dooB gaya rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee
9. sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN naa jaane kis adaa se liya toone mera naam duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN
10. humko dushman kee nigahoN se na dekha keeJe pyaar hi pyaar haiN hum humpe bharOsa keeJe chand yaadoN ke siwa haath na kuch aayega is tarah uMr-e-gureza ka na peecha keeJe roshni auroN ke aaNgaN meiN gawara na sahee kam se kam apne ghar meiN to uJaala keeJe kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye roz palkoN pe nayee shamme jalaya keeJe
11. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO hume to aaj ki shab pau faTe tak jaagna hoga yahi kismat hamari hai sitroN tum to so jaaO hume bhee neeNd aa jaayegi hum bhi so hi jaayenge abhi kuch beqaraari hai sitaroN tum to so jaaO tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO
12. aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai waqt ke saath haalaat badal jaate haiN ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai
13. socha nahiN achcha bura dekha suna kuch bhi nahiN maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahiN dekha tuJhe socha tuJhe chaaha tuJhe pooja tuJhe meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahiN jispar hamari aaNkh ne moti bichchaaye raat bhar bheja wohi kaagaz tuJhe humne likha kuch bhi nahiN ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq aankhoN se kee baateN bahot humne kaha kuch bhi nahiN
14. paseene paseene huye jaa rahe ho ye bolo kahaN se chale aa rahe ho hameN sabR karne ko keh to rahe ho magar dekh lo khud hi ghabraa rahe ho ye kiskee buri tumko nazar lag gayee hai baharoN ke mausam meiN murJha rahe ho ye aaina hai ye to sach hi kahega kyoN apni haqeeqat se katraa rahe ho
15. bahut diNoN ki baat hai fizaa ko yaad bhi nahiN ye baat aaj kee nahiN bahut dinoN kee baat hai shabaab par bahaar thee fizaa bhi khush-gawaar thee naa jaane kyoon machal pada maiN apne ghar se chal pada kisi ne muJhko rok'kar badi adaa se Tok'kar kaha tha lauT aae'iye meri kasam naa jaai'eye par muJhe khaBar na thee maahOl par nazar na thee naa jaane kyoon machal pada maiN apne ghar se chal pada maiN shehaR se phir aa gaya khayal thaa ke paa gaya us'e jo muJhse door thee magar meri zaroor thee aur ik hasiN shaaM ko maiN chal paDa salaam ko gali ka rang dekh'kar nayee tarang dekh'kar muJhe badi khushi huyee maiN kuch isi khushee meiN tha kisi ne Jhaank'kar kaha paraaye ghar se jaai'iye meri kasma na aai'iye wahi haseeN shaam hai bahaar jiska naam hai chala hooN ghar ko choDkar na jaane jaaoonga kidhar koi nahiN jo Tok'kar koi nahiN jo Rok'kar kahe ke laut aai'iye meri kasam na jaai'iye meri kasam naa jaai'iye ......

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts