Monday, October 29, 2012

Hunter Lyrics - Gangs of Wasseypur

Song Title: Hunter
Music Director: Sneha Khanwalkar
Lyricist: Varun Grover
Singer(s): Vedesh Sookoo,Rajneesh,Shyamoo, Munna

Hunter is a quite a different track. We usually don't get to listen to these kind of sounds. This song's genre is "Chutney Music".


This form of music (Chutney Music) created by Indo-Caribbean people whose ancestors were from Bihar, Uttar Pradesh, Bengal and the South Indian area around Madras. It's quite interesting to use such kind of things in Bollywood films.

Hunter is composed by Sneha Khanwalkar and sung by Vedesh Sookoo, Rajneesh, Shyamoo and Munna while lyrics of hunter have been written by Varun Grover and He wrote some double meaning lines here.


Haailoo Hello!

I am a hunter and she want to see my gun
When I pull it out boy the woman start to run [x2]

She beg me to see it, she beg me to show it
But when I reveal it, she want to run and hide [x2]

Haailoo! Haailoo... Hello!
Put on your hunting clothes, let we go on hunt
Please don't be embarrassed, you could touch it if you want
All them young one around here, ask them about me
I am the baddest gunman that they ever see
I am a hunter and she want to see my gun
Hum hai sikari sikari sikaari

I am a hunter and she want to see my gun
When I pull it out, the woman start to run

Tan tan tan tan...

Daily goli nikle, automatic tan-tan
With one gun in my hand and the next one around my waist
If you see this young girl with da rude look on she face

I say as a hunter, I must be brave and strong
She say that she find that my gun extremely long

Hum hain sikaari, paackit mein lambi gun
Dhaayen se jo chhoote tan-mann howe magan [x2]

Oooooo...

This girl harasses me, she won't leave me alone
But that kinda behavior I really can't condone

Hai bahut bhokali, na kabhi ho khaali
Hai bahut bhokali, na kabhi ho khaali

This girl harasses me, she won't leave me alone
But that kinda behavior I really can't condone

She says that she’s sorry, she just want to have fun
Then she asks me kindly, if she can hold my gun

I am a hunter and she want to see my gun
When I pull it out boy the woman start to run [x2]

Door tak hai phamous, kar de sab ko bebas
Door tak hai phamous, kar de sab ko bebas
Usko milta darsan, jisko maan mein hai lagan
Usko milta darsan, jisko mana mein hai lagan

Laagi lagan laagi lagan...

She beg me to see it, she beg me to show it
But when I reveal it, she want to run and hide


Saturday, October 27, 2012

Saawali Si Raat Lyrics - Barfi!


SongSaawali Si Raat
FilmBarfi!
Singer(s)Arijit Singh
Music DirectorPritam
LyricistSwanand Kirkire


Saawali si raat ho, khamoshi ka saath ho
Hmm saawali si raat ho, khamoshi ka saath ho
Bin kahe bin sune, baat ho teri meri
Neendh jab ho laapata, udaasiyaan zara hata
Khwaabon ki razaayi mein, raat ho teri meri

Hmmm...

Jhilmil taaron si aankhein teri
Khare khare paani ki jheelein bhare
Hardum yun hi tu hansti rahe
Har pal hai dil mein khwaahishein
Khamoshi ki loriyaan sunn toh raat so gayi

Bin kahe bin sune, baat ho teri meri
Saawali si raat ho, khamoshi ka saath ho
Bin kahe bin sune, baat ho teri meri

Barfi ke tukde sa, chanda dekho aadha hai
Dheere dheere chakhna zara
Hmm hasne rulane ka, aadha-pauna vaada hai
Kankhi se takna zara
Yeh jo lamhe hain lamhon ki behti nadi mein
Haan bheeg loon, haan bheeg loon
Yeh jo aankhen hain aankhon ki gumsum zubaan ko
Main seekh loon, haan seekh loon
Ankahi si guftagu, ansuni si justaju
Bin kahe, bin sune, apni baat ho gayi
Saawali si raat ho khamoshi ka saath ho
Bin kahe bin sune, baat ho teri meri

Phir Le Aya Dil Lyrics - Barfi!


SongPhir Le Aya Dil
FilmBarfi!
Singer(s)Rekha Bhardwaj
Music DirectorPritam
LyricistSwanand Kirkire


Phir le aaya dil majboor kya keeje
Phir le aaya dil majboor kya keeje
Raas na aaya rehna door kya keeje
Dil keh raha usse makammal kar bhi aao
Woh jo adhoori si baat baaki hai
Woh jo adhoori si yaad baaki hai
Woh jo adhoori si yaad baaki hai

Karte hain hum aaj qabool kya keeje
Ho gayi thi jo humse bhool kya keeje

Karte hain hum aaj qabool kya keeje
Ho gayi thi jo humse bhool kya keeje
Dil keh raha usse mayassar kar bhi aao
Woh jo dabi si aas baaki hai
Woh jo dabi si aanch baaki hai - 3 times

Kismat ko hai yeh manzoor kya keeje
Milte rahe hum baadastoor kya keeje

Kismat ko hai yeh manzoor kya keeje
Milte rahe hum baadastoor kya keeje
Dil keh raha hai usse musalsal kar bhi aao
Woh jo ruki si raah baaki hai
Woh jo ruki si chaah baaki hai - 3 times

Main Kya Karoon Lyrics - Barfi!


SongMain Kya Karoon
FilmBarfi!
Singer(s)Nikhil Paul George
Music DirectorPritam
LyricistSwanand Kirkire


Dil yeh mera, bas mein nahi
Pehle kabhi aisa hota tha nahi
Hmm..
Dil yeh mera, bas mein nahi
Pehle kabhi, aisa hota tha nahi
Tu hi bata iss dil ka main
Ab kya karoon

Kehne pe, chalta nahi
Kuch dino se, meri bhi sunta nahi
Tu hi bata iss dil ka main, uff ab main kya karoon
Main kya karoon...
Iss dil kya karoon, main kya karoon...

Karta awaargi
Iss pe dhun chadhi, hai pyaar ki
Jaane gumm hai kahaan
Baaton mein hai pada, bekaar ki
Karta awaargi
Iss pe dhun chadhi, hai pyaar ki
Na jaane gumm hai kahaan
Baaton mein hai pada, bekaar ki
Ulti yeh baat hai
Aise halaat hai
Ghalti kare yeh main bharu

Uff dil ka kya karoon
Main kya karoon...
Iss dil kya karoon, main kya karoon...

Dil pe mera kaabu nahin
Fitrat kabhi iski aisi thi nahin
Tu hi bata iss dil ka main
Ab kya karoon

Kehne pe, chalta nahi
Kuch dino se, meri bhi sunta nahi
Tu hi bata iss dil ka main, uff dil ka kya karoon
Main kya karoon...
Uff ab main kya karoon...

Friday, October 26, 2012

Kyon Lyrics - Barfi!

SongKyon
FilmBarfi!
Singer(s)Papon
Music DirectorPritam
LyricistSwanand Kirkire


Kyon, na hum tum
Chale tedhe-medhe se raston pe nange paanv re
Chal, bhatak le na baawre

Kyon, na hum tum
Phire jaake almast pehchaani raahon ke pare
Chal bhatak le na baawre
Inn timtimaati nigaahon mein
Inn chamchamaati adaayon mein
Luke hue, chhupe hue
Hai kya khayaal baawre

Kyun, na hum tum
Chale zindagi ke nashe mein hi dhut sarphire
Chal bhatak le na baawre

Kyun, na hum tum
Talashein bageechon mein phursat bhari chhanv mein
Chal bhatak le na baawre
Inn gungunati fizaaon mein
Inn sarsarati hawaaon mein
Tukar-tukar yun dekhe kya
Kya tera haal baawre

Na lafz kharch karna tum
Na lafz kharch hum karenge
Nazar ke kankadon se
Khamoshiyon ki khidkiyan yun todhenge
Mila ke mast baat phir karenge
Na harf kharch karna tum (harf means "Akshar - a letter")
Na harf kharch hum karenge
Nazar ki syaahi se likhenge
Tujhe hazaar chitthiyaan khamoshi jhidkiyaan
Tere pate pe bhej denge

Sunn, khankhanati hai zindagi
Le, hume bulati hai zindagi
Jo karna hai woh aaj kar, na isko taal baawre, aha ha

Kyun, na hum tum
Chale tedhe-medhe se raston pe nange paanv re
Chal bhatak le na bawre

Kyun, na hum tum
Phire jaa ke almast pehchaani raahon ke pare
Chal bhatak le na bawre
Inn timtimaati nigaahon mein
Inn chamchamaati adaayon mein
luke hue, chhupe hue
Hai kya khayal baawre

Ala Barfi Lyrics - Barfi!

SongAla Barfi
FilmBarfi!
Singer(s)Mohit Chauhan
Music DirectorPritam
LyricistSwanand Kirkire


Oo ae.. aankhon hi aankhon mein kare baatein
Gupchup gupchup gupchup hoye
Fus fus fus fus oo ae..
Khwaabon ki nadi mein khaaye gote
Gud gud gud gud gud gud hoye
Bud bud bud bud bud bud..
Oo ae.. aankhon hi aankhon mein kare baatein
Gupchup gupchup gupchup hoye
Fus fus fus fus oo ae..
Khwaabon ki nadi mein khaaye gote
Gud gud gud gud gud hoye
Bud bud bud bud bud..

Ala ala matwaala barfi
Paun pada mota chala barfi
Raatoon ka hai yeh ujaala barfi
Gum sum gum sum hi machaaye yeh toh utpath
Khur khur khur khur khurafati kare non-stop
Khur khur khur.. hey
Bud bud bud bud hoye... hey
Gud gud gud gud maula issi se bachiye le
Khur khur khur.. hey
Bud bud bud bud hoye... hey
Gud gud gud gud maula issi se bachiye le
Hey..

Aankhon hi aankhon mein kare baatein
Gupchup gupchup gupchup hoye
Fus fus fus fus oo ae..
Khwaabon ki nadi mein khaaye gote
Gud gud gud gud gud, oye
Bud bud bud bud..

Kahbi na rukta re, kabhi na thamta re
Rang jo dikha usse khusiyon ki thokar maare
Palko ki har muniya, naino ki gaare saare
Dhadkan ki rhythm pe yeh gaata jaaye gaane pyaare
Bhola na shamjho yeh chalu khiladi hai bada bada
Hey..
Sooraj yeh uljha dega, maarega phoonk aise
Top taliyya peepal chaiyya
Har kooche ki aisi taisi
Hey..
Aankhon hi aankhon mein kare baatein
Gupchup gupchup gupchup hoye
Fus fus fus fus oo ae..
Khwaabon ki nadi mein khaaye gote
Gud gud gud gud gud, oye
Bud bud bud bud

Barfi jo amma ji ki koakh mein tha soya
Amma ne murphy ka radio mangaya
Barfi munna jaisa lalla
Amma ka tha sapna
Munna jab haule haule duniya mein aaya
Baba ne silon wala station lagaya
Radio on hua amma off hui
Toota har sapna
Oo ae.. munna mute hi aasun bhahaaye, chu chu haye

Munna jhun jhuna sunn bhi na paaye
Jhun jhun jhun jhun jhun, hoye
Jhun jhun jhun jhun jhun

Ala ala matwaala barfi
Paun pada mota chala barfi
Raatoon ka hai yeh ujaala barfi
Gum sum gum sum hi machaaye yeh toh utpath
Khur khur khur khur khurafati kare non-stop
Khur khur khur.. hey
Bud bud bud bud... hey
Gud gud gud gud maula issi se bachiye le
Khur khur khur.. hey
Bud bud bud bud... hey
Gud gud gud gud maula issi se bachiye le
Hey..

Aankhon hi aankhon mein kare baatein
Gupchup gupchup gupchup hoye
Fus fus fus fus oo ae..
Khwaabon ki nadi mein khaaye gote
Gud gud gud gud gud, oye

Aashiyan Lyrics - Barfi!

Song: Aashiyan
FilmBarfi!
Singer(s): Nikhil Paul George, Shreya Ghoshal
Music DirectorPritam
LyricistSwanand Kirkire


Itti si hansi
Itti si khushi
Itna sa tukda chand ka
Khwaabon ke, tinkon se
Chal banaaye aashiyan
Itti si hansi
Itti si khushi
Itna sa tukda chand ka
Khwaabon ke, tinkon se
Chal banaaye aashiyan

Dabe dabe paaon se
Aaye haule haule zindagi
Honthon pe ungli chadha ke
Hum taale laga ke chal
Gumsum tarane chupke chupke gaaye
Aadhi aadhi baat le
Aaja dil ki yeh zameen
Thoda sa tera sa hoga
Thoda mera bhi hoga apna yeh aashiyan

Itti si hansi
Itti si khushi
Itna sa tukda chand ka
Khwaabon ke, tinkon se
Chal banaaye aashiyan

Naa ho chaar deewarein
Phir bhi jharokhe khule
Baadalon ke honthon pe
Shaakhe hari, pankha chale

Naa ho koi takraarein
Arrey masti thahaake chale
Pyaar ke sikkon se, mahine ka kharcha chale

Dabe dabe paaon se
Aaye haule haule zindagi
Honthon pe ungli chadha ke
Hum taale laga ke chal
Gumsum tarane chupke chupke gaaye
Aadhi aadhi baat le
Aaja dil ki yeh zameen
Thoda sa tera sa hoga
Thoda mera bhi hoga apna yeh aashiyan

Itti si hansi
Itti si khushi
Itna sa tukda chand ka
Khwaabon ke, tinkon se
Chal banaaye aashiyan
Itti si hansi
Itti si khushi
Itna sa tukda chand ka
Khwaabon ke, tinkon se
Chal banaaye aashiyan

Saturday, October 20, 2012

Chand jaise mukhde pe


The movie “Saawan Ko Aane Do” was a musical blockbuster, and its songs became very popular among it,s target audience, viz audience who watched non mainstream ( Amitabh Bachchan kind of action movies) movies which were made on shoestring budget with unknown faces.

In fact, Rajshri productions broke the myth that movies sold because of big stars. Rajshree production movies had no stars, and in fact music was the star in their movies.
I have posted two songs from this movie and I can continue posting one great song after another from this movie, as the movie was full of such songs.
Here is one such song. This song “chand jaise mukhde pe bindiya sitaara” incidentally is a song where one can find the word “chaand” which had by now become rarer than “id ka chaand”.Movie : Saawan Ko aane do (1979) 
Starring : 
Arun Govil, Zarina Wahab, Rita Bhaduri and Amrish Puri
Singer : Yesudas
Lyrics : Purushottam “Pankaj”, MD-Rajkamal


sab tithiyan kaa chandrmaa, jo dekhaa chaaho aaj,
dheere dheere ghoonghtaa sarkaavo sartaaj,

hoooo ho ho ho
chaand jaise mukhde pe bindiyaa sitaaraa...,

chaand jaise mukhde pe bindiyaa sitaaraa,
nahin bhoolegaa meri jaan, ye sitaaraa wo sitaaraa,
maanaa teri nazron mein main hoon ek aawaaraa,
ho aawaaraa...
nahin bhoolegaa meri jaan, ye aawaaraa, wo aawaaraa,
chaand jaise mukhde pe bindiyaa sitaaraa
ho ho ho ho

saagar saagar moti milte, parwat parwat paaras,
tan man aise bheege jaise barse mahuee kaa ras,
are kastoori ko khojtaa phirtaa hai ye banjaaraa,
ho banjaaraa...
nahin bhoolegaa meri jaan, ye banjaaraa, wo banjaaraa,
chand jaise mukhde pe bindiya sitaara,
ho ho ho ho

kajraare chanchal nainon mein sooraj chaand kaa deraa,
roop ke is paawan mandir mein hansaa kare baseraa,
pyaase geeton ki gangaa kaa tu hi hai kinaaraa,
ho kinaaraa...
nahin bhoolegaa meri jaan, ye kinaaraa wo kinaaraa,

chaand jaise mukhde pe bindiyaa sitaaraa,
nahin bhoolegaa meri jaan ye sitaaraa, wo sitaaraa,
maanaa teri nazron mein main hoon ek aawaaraa,
ho aawaaraa...
nahin bhoolegaa meri jaan, ye aawaaraa, wo aawaaraa,
chaand jaise mukhde pe bindiyaa sitaaraa
ho ho ho ho...


Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts