Saturday, August 17, 2013

Sun sun sun deewaane - Anjum Rahbar


Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Dhadkan ke har dwaare par, - 2
Jeewan ke ektaare par,
Saanso ki ye dhun..

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Ye nagri-baazaar, thago ka makkaron ka ghera,
Tera naa mera,
Ye nagri-baazaar, thago ka makkaron ka ghera,
Tera naa mera,
Jaane kab lut jaayega apna rain basera,
Ye jogi feraa,

Duniya ki gahraai mai - 2
Juth mai or sacchai mai,
Apna rasta chun...

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Pet ki paapi khaai ko hamne jeevan bhar hai paata,
Hai geela aataa,
Pet ki paapi khaai ko hamne jeevan bhar hai paata,
Hai geela aataa,
Halwaa, puri, chatni churi,
Aisa naan paraatha, Sabhi mai ghaata,

Pagle pyaar ka meva chakh - 2
Ek taraf sab chije rakh,
Daal namak saabun..

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Ujale-ujale kapdo waale sab hai man ke kaale,
Bade ghotaale,
Ujale-ujale kapdo waale sab hai man ke kaale,
Bade ghotaale,
Hum aansu ke ghut piye or ye madira ke pyaale,
Ye khaddar waale,

Jitne satta dhaari hai - 2
Iss dharti pe bhaari hai,
Sab hai pee ke tunn

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Dhadkan ke har dwaare par,
Jeewan ke ektaare par,
Saanso ki ye dhun..

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

- Anjum Rahbar

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts