Friday, September 20, 2013

Mai tumko pyaar nahi de paaunga

This poem was performed by Ramesh Muskan in a SAB television show "Wah Wah Kya Baat Hai". He is presented as a "Chupa-Rustam" in the episode 3 - that is aired on 29th September 2012.
(Bhumika : Ek sanskaarwaan kisaan ka beta padhne ke liye videsh chala gya, or waha uska prem ek morden ladki se ho gya, jo puri tarah se paschatya rang mai rachi basi thi, kuch dino baad usse laga ki iske saath mera nirvahan nahi ho sakta meri iske saath nahi nibh sakti to usne ladki ko ek patr likha ki mai tumhe pyar nahi de paaunga, or kyo nahi de paaunga saare tark likhe)


O computer yug ki chori - 2, man ki kaali tan ki gori,
kinchit apni baaho ka gal haar nahi de paaunga,
krna mujhko maaf, mai tumko pyar nahi de paaunga,
O computer yug ki chori..

tum fasion model si lagti, mai bhajno waala chennal hu - 2
tum minrol water ki bottal, mai ganga ka pawan jal hu,
tum karo gaadiyon ki maange, mai paanw paanw chalne waala,
tum helojan si jalti ho, mai deepak saa jalne waala,
to chamak-damak waala tumko, sansaar nahi de paaunga,
krna mujhko maaf, mai tumko pyar nahi de paaunga,
O computer yug ki chori..

tum ramp pe deh dikhati ho, mai sanskaar ko jita hu - 2
jab tumhe dekh siti bajti, mai ghut lahu ka pita hu,
tum sada swapn mai jiti ho, mai hu yatharth jine waala,
tum soop hamesha piti ho, mai hu mattha pine waala,
to fast food bhi mai tumko, har baar nahi de paaunga,
krna mujhko maaf, mai tumko pyar nahi de paaunga,
O computer yug ki chori..

tum pop music si bajti, mai bansi ki dhun ka dhuniya - 2
mujhpar dart phone bhi naa, tum par interneti duniya,
tum mobile ke message si, mai postcard likhne waala,
tum teddy bear si lagti, mai gubaara udne waala,
to bhotikwaadi sukh-sadhan, sanchaar nahi de paaunga,
krna mujhko maaf, mai tumko pyar nahi de paaunga,
O computer yug ki chori..

tum dedy ko ab ded kaho, mummy ko mom batati ho - 2
tum karwachauth bhul baithi, day valentine manati ho,
to tumhe tumhaare sapno ka, tyohaar nahi de paaunga,
krna mujhko maaf, mai tumko pyar nahi de paaunga,
O computer yug ki chori..



Ramesh Muskan

Tuktak

This poem was performed by Ramesh Muskan in a SAB television show "Wah Wah Kya Baat Hai". He is presented as a "Chupa-Rustam" in the episode 3 - that is aired on 29th September 2012.


Mohabbat sirf kharcho ki badi lambi kahani hai -2
Kabhi picture dikhani hai kabhi saadi dilani hai,
Master roj kahta hai kaha hai fees ke paise..?
Usse samjhau mai kaise mujhe chori patani hai...

And here is one more : Kisi kamniya kanya ka kahi jo deed ho jaaye -2
ye smbhav hai nahi uss pal sabhi ki eid ho jaaye,
chhura le kr sadak par hai nikalti choriyaan abto,
naa jane kab kaha pe aapki bakrid ho jaaye...


Ramesh Muskan

Buddho ke bhi man mai mayur

This poem was performed by Ramesh Muskan in a SAB television show "Wah Wah Kya Baat Hai". He is presented as a "Chupa-Rustam" in the episode 3 - that is aired on 29th September 2012.

ki barish mai bhegi hui nayika ko dekh kr,
Buddho ke bhi man mai mayur naachne lage,

ki barish mai bhegi hui nayika ko dekh kr,
Buddho ke bhi man mai mayur naachne lage,

Rangne lage wo baal thokne lage hai taal,
Umr ko chupane waala churn faakne lage,
Kurta galfdaar, chatri sirok dhaar, 
ainak se ghur - ghur rup aankne lage,

kintu ek sodh si baala ne jab baba kaha,
chaati matha koot ke bagal jhaakne lage..

Ramesh Muskan

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts